Home > Religion Articles > Vishnu Aarti : "Om Jai Jagdish Hare" - Universal H.....

Vishnu Aarti : "Om Jai Jagdish Hare" - Universal Hindu Aarti

 
 
 

 

Om Jai Jagdish Hare is a Hindu bhajan (devotional song), composed in or near the 1870s by Pandit Shardha Ram Phillauri in Punjab, India. Even though it is in Hindi, it is universally used by Hindus around the world speaking any of the numerous Indian languages, or belonging to any one of many sects.
 
Vishnu Aarti - "Om Jai Jagdish Hare"
Om Jai Jagdish Hare, Swami Jai Jagdish Hare |
Bhakt Jano Ke Sankat, Kshan Mein Door Kare || Om…
 
Jo Dhyave Phal Pave, Dukh Bin Se Mun Ka |
Sukh Sampati Ghar Aave, Kasht Mite Tun Ka || Om…
 
Maat Pita Tum Mere, Sharan Gahu Mein Kiski |
Tum Bin Aur Na Dooja, Aas Karun Mein Jiski || Om…
 
Tum Puran Parmatma,Tum Antaryami | 
Par Braham Parmeshwar, Tum Sabke Swami || Om…
 
Tum Karuna Ke Sagar, Tum Palan Karta |
Mein Sevak Tum Swami, Kripa Karo Bharta || Om…
 
Tum Ho Ek Agochar, Sab Ke Pranpati |
Kis Vidh Milun Dyamaye, Tum Ko Main Kumti || Om…
 
Deen Bandhu Dukh Harta, Tum Rakshak Mere | 
Apne Haath Uthao, Dwar Pada Tere || Om…
 
Vishay Vikar Mitao, Paap Haro Deva |
Shradha Bhakti Badao, Santan Ki Seva || Om…
 
Shri Jagdish Ji Ki Aarti, Jo Koi Nar Gave |
Kahat Shivanand Swami, Shukh Sampatti Pave || Om…
 


 

 

Previous Article

Satyanarayan Aarti - "Jai Lakshmi Ramna"